Home › Guides › IMEI 0

Fix: IMEI shows 0 / null

Phone ki IMEI 0, null ya 000000000000000 dikha rahi hai? Matlab baseband/radio ya NV/EFS kharab ho gaya. Neeche sahi (jaiz) tareeqa.

Hum sirf jaiz kaam karte hain — original IMEI ko bahal karna (restore), kisi doosri IMEI likhna nahi. IMEI change karna aksar ghair-qanooni hai.

Kyun hota hai

Theek karne ka tareeqa

Pehle online tool ya *#06# se confirm karo ke IMEI waqai 0/null hai.
Isi exact model + region ki sahi stock firmware le aao (Flash Files se, ya request karo).
Baseband/modem/NON-HLOS (Qualcomm) ya modem/md1img (MTK) partition dobara flash karo — isse radio bahal hota hai.
Pixel par: sahi radio.img flash karne se IMEI wapas aa jati hai (hamara tool isme paid 1-click bhi deta hai).
EFS/NV backup mojood ho to usay restore karo (yehi asli IMEI wapas laata hai).
Agar EFS backup nahi aur baseband flash se bhi na aaye, to WhatsApp par model batao — hum model-specific tareeqa (ya paid service) bata denge.
Mian GSM Lab · gsm.net.pk · Online GSM services worldwide (remote)